Humne to apna sab kuch dost ke naam kar diya
Aandhi mein bankar vishaal khada raha wo
Andhere me bankar mashaal jalta raha wo
Thokar lagne se pehle hi mujhe thaam leta hai
Jaane kaise sab aankhon se padhkar jaan leta hai
Jab bhi yaad karta hun use apne saath paata hun
Use dekhte hi har ghum bhul jata hun
Ghum mein bhi usne mujhe hansna sikhaya
Jeene ka sachha matlab samjhaya
Hamesha mere saath khada raha wo
Bankar ek lauta sahara adig ada raha wo
Ek din kisi baat pe naaraaz wo mujhse ho gaya
Kai dino tak jab usse milna na hua
Tab samajh aaya ki ye mujhse kya hua
Maine dil jo uska dukhaya tha
Apni galti ka ilzaam uspe lagaya tha
Is par bhi wo mujhse khafaa na tha
Mere intazaar me baahein failaye khada tha
Milte hi mujhe gale se usne laga liya
Bola, mere yaar maine sab bhula diya
Sachhe dost to milte hain badi kismat se
Juda na karna kabhi unhe apne dil se
Aye dost teri dosti pe maine naaz bahaut kiya hai
Khuda se pehle tujhe yaad kiya hai
tujhe aur kya mein dun
Apni saanso par hi maine tera naam likh diya hai
3-Dec-2010
No comments:
Post a Comment